Suna hai log usay aankh
bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main
kuchh din thahr ke
dekhtay hain Suna hai rabt hai us ko
kharab halon se
So apnay aap ko barbad
karkay dekhtay hain Suna hai dard ki gahak
hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se
guzar kar dekhtay hain Suna hai us ko bhi hai sher-
o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay
hunar ke dekhtay hain Suna hai bole to baton se
phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat
kar ke dekhtay hain Suna hai raat use chand
takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se
utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki
gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht
bhar ke dekhtay hain Suna hai din ko usay
titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno
thahar ke dekhtay hain Suna hai rat se barh kar
hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye
guzar ke dekhtay hain Suna hai us ki siyah
chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh
aankh bhar ke dekhtay
hain Suna hai us ke labon se
gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam
dhar ke dekhtay hain Suna hai aaina tamasal hai
jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar
ke dekhtay hain Suna hai jab se hamail hain
us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke
dekhtay hain Suna hai chashm-e tasavur
se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki
kamar ke dekhtay hain Suna hai us ke badan ke
tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain
qatar ke dekhtay hain
Ke us shajar pe shagufay
samar ke dekhtay hain Bas ek nigah se lutata hai
qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa
bhi dar ke dekhtay hain Suna hai us ke shabistan se
mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway
idhar ke dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka
tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay
thahar ke dekhtay hain Kisay naseeb ke be
parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar
ghar ke dekhtay hain Khaniyan hi sahi sab
mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir
kar ke dekhtay hain Ab us ke shahar main
tharain ki kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke
dekhtay hain .
Heart Buyer